A small set of poems i wrote-

Hey everyone, I’ve been writing short reflective Hindi/Urdu style pieces lately. Sharing 5 of them here — would love feedback or thoughts.


  1. Musafir Kabhi-kabhi bohot yaad aati hai khud ki. Jab dhoondhne lagta hu to lagta hai… Woh musafir main hi tha, Jo raste me kahin bhatak gaya tha.

  1. Khalipan Wo khalipan aaj bhi khatakta hai. Aksharon se khud ko behla leta hu. Kalam sagi sahi, Par kaagaz ko syahi se bhar deta hu.

  1. Farebi Ek sach chhupane ke liye sau jhooth bol leta hu. Koi sunta hi nahi… Isliye kabhi kabhi khud ko hi fareb maan leta hu.

  1. Ek Shaam Ek shaam wo bhi thi, Jab chehre par muskaan baaki thi. Ek shaam wo bhi thi, Jab parinda ghayal nahi tha, Aur udan me abhi bhi jawani thi.

  1. Mor Ittlata phire, batlata phire, Naach sabko dikhata phire. Par jab pair dekhe neeche… Adhura reh jaaye mor ka sapna.

Would love your reviews, interpretations, or even your own pieces. Thanks for reading. ✨

Posted Nov 14, 2025, 6:59 PM UTC

11
Loading comments…