Yr kaisi maya hai ?

Khamoshi mein kyun itna sukoon sa ghul aaya hai, Jisse kabhi bair tha mujhe, Aaj bus wahi mujhe samajh paya hai. Ye kaisi maya hai?

Andhere se bhaagti thi jo roshni ke naam par, Aaj usi andhere ko ghar sa sajaya hai. Jisse dar kar palat jaati thi kabhi, Ab usi mein maine apna sansaar sa basaya hai. Ye kaisi maya hai?

Bheed mein rehna pasand tha ye jo mujhe kabhi, Ab kyun akelepan mein anand sa chhaya hai, Jo khud hi kolahal thi kabhi main, Ab kyun yun khud ko maun sa paaya hai. Ye kaisi maya hai?

Posted Mar 3, 2026, 11:40 AM UTC

10
Loading comments…