Class politics 101☠️🥀
Pata hai aaj kya hua
Mere bhai ka aaj ka episode ekdum “seedha baccha fas gaya system me” type ho gaya.🤧
Scene kya hai dean ne bulaya, full “beta tum toh sincere lagte ho” wala sweet trap laga ke pucha, “kaun kaun class ko disturb karta hai?”
Ab bhai pehle toh Ramayan ke Ram banne ki koshish kar rahe the...chup, neutral, Switzerland 🌝
Par dean nikla mithi chhuri deluxe version… dheere dheere info nikalwa hi li 💀
Bhai ne do groups ke naam bol diye (kyunki bhai ko laga honesty is the best policy… lol cute 👍)
Ab plot twist suno ... saath me jo female CR gayi thi na… usne class me jaake breaking news chala di ki isne dean ko tumlogo ke naam bta diye hai.
Like sis?? BBC ho kya?? 💀
Ab woh bande ise confront krne agye.
“Tu bada imaandar ban raha hai?”
“Tu humara naam dega?”
Aur bhai ka BP 📈📈📈
Ab bhai bol raha hai
“Main us 3 futiya CR ki complaint karunga dean se 😤 aur usko samne se confront bhi karunga.”
Ab honestly… yaha do cheezein samajh nahi aa rahi:
Dean ne jo pucha isne bata diya...galat bhi nahi hai
CR ne jo kiya woh toh free ka mirchi tadka tha 🌶️🔥
Matlab bhai ne sirf answer diya tha…
Par madam ne usko villain arc de diya 🎭
Ab ye janaab kya kare?
A) Dean ke paas jaake bole “sir aapne mujhe informant bana diya aur upar se leak bhi ho gaya 🙂”
B) CR ko confront kare “behen tu news channel kyun bani?”
C) Ya fir chup chap “main toh bas padhne aaya tha” mode me chala jaye 🥲
Because honestly… yeh situation hai hi aisi
Na poora galat hai, na poora sahi…
Bas beech me banda roast ho gaya. 🔥
Posted Apr 28, 2026, 6:58 PM UTC