Ek Khamosh si ladai

Just Sharing

Woh ek ladki hai...

na khaas, na alag,

bas ek beech ki jagah mein chhupi hui kahaani

jise koi poori tarah samajhta nahi.

Teen behen-bhaiyon mein beech ka sauda,

na sabse bada, na sabse chhota,

magar har jhagde, har faisle, har sawaal ka beech ka nishana...woh.

Uske sapne bohot bade nahi the...

sirf itne ke khud ke pairon par khud ko khada dekh sake.

Par har baar...

ya to sapna chhota pad gaya,

ya rasta roka gaya.

Kabhi padhai ke liye manaya,

kabhi chhoti si azaadi ke liye ladaayi ki,

magar har baar jawab mein sirf ek shabd mila...

“Nahi.”

Aur ab...

jab woh thak gayi hai,

toh sab keh rahe hain,

"Shaadi kar lo, zindagi theek ho jaayegi."

Lekin kaun jaane...

ek ladki ke liye shaadi samadhan nahi hota,

kabhi kabhi, woh uske sapnon ka antim sanskaar ban jaata hai.

Woh ladki aaj bhi lad rahi hai...

sabr ke haathon se, sapno ke ashkon se.

Na haar maani hai, na shikayat ki hai...

magar uski aankhon mein ek sawal hai:

“Mujhe jeene ki ijazat kab milegi?”

~@Ornery_Coconut337

https://www.reddit.com/r/OCPoetry/s/6w7FoTdFoQ

https://www.reddit.com/r/OCPoetry/s/vr2USRXlrZ

Posted Jun 28, 2026, 1:12 AM UTC

012
Loading comments…