Chithhi
Agar main kal na rahun...
Kya tum meri chithhi padhoge?
Kya usmein tumhe sirf lafz nazar aayenge,
Ya un lafzon ke beech chhupe mere jazbaat bhi mehsoos kar paoge?
Jab meri likhawat ki galtiyon par tumhari nazar padegi,
Kya muskuraoge...
Ya meri kami tumhari aankhon ko nam kar degi?
Shayad hum utne kareeb kabhi the hi nahi,
Shayad waqt ke saath tum mujhe bhool jaoge.
Aur agar kabhi yaad aaun,
Toh mujh par taras mat khana.
Agar meri koi khoobsurat yaad na ho,
Toh meri nadani yaad karke bas muskura dena.
Ek baat batao...
Kya maut waqai ek naya safar hoti hai?
Kya wahan bhi zindagi ki tarah kahaniyan hoti hongi,
Ya sab kuch bilkul alag hoga?
Jaate-jaate bas ek sawal chhod jaunga...
Shayad uska jawab kabhi na mile.
Posted Jul 10, 2026, 7:34 PM UTC
32