2 years of Amazon PPC experience — confused between going deep into Google Ads or sticking with Amazon Ads. Need career advice
Hi everyone, main 27 saal ka hu, currently Mohali/Chandigarh mein rehta hu.
Mujhe Amazon Ads mein 2 saal ka hands-on experience hai — ACOS/ROAS optimization, keyword research, negative keywords, campaign management, sab kiya hai ek US marketplace account pe.
Recently job chhodi hai aur ab job search kar raha hu. Do interviews diye, dono mein pucha gaya "Google Ads mein experience hai kya" — jo mera zyada strong nahi hai abhi, basic level hi hai.
Ab confuse hu ki:
- Google Ads mein deep jau (Search, Shopping, Performance Max seekhu properly)
- Ya Amazon Ads pe hi focus rakhu aur usi mein depth banau
- Ya phir dono ka combo karu (Amazon Ads + Google Ads + Excel/MIS reporting)
Mujhe basic MIS/Excel (VLOOKUP, Pivot Tables) bhi aata hai, toh kabhi lagta hai wahan bhi try kar sakta hu, but nahi pata kya sahi rahega long-term.
Kisi ko andaza hai ki job market mein kya zyada demand hai — Amazon Ads specialists ki, ya Google Ads/multi-platform PPC wale logo ki? Chandigarh/Mohali/Tricity area mein kisi ko is field ka experience hai kya?
Koi guidance milegi toh helpful rahegi. Thanks!
Posted Jul 23, 2026, 10:04 AM UTC