Ganga kinaare deepak
Sandhya ka samay tha Ganga ka jal dheere dheere beh raha tha aur ghaat ki seedhiyo pe baitha tha mei
Aur anek deepak lehron ke sang maano apni jeevan ki talaash mei bhatak se rahe
Tabhi ek khayal aaya manushya ka jeevan bhi toh aisa hi hai kitni hi kathinaaiyan kyun na ho ek chhoti si aasha bhi manushya ke hridya ko prajawalit kardeti aur aage badhne ka saahas de deti hai
Ganga apni dhaara mein behti rahi aur ye diye apni chhoti si jyoti lekar aage badhte rahe
Posted Aug 8, 2026, 5:25 PM UTC
11