Leather ka Aroma
Jacket ya naee gari ka interior.. basically to yeh do products hain jo apko leather ki yaad dilatay hain..
Mera nahe khayal kay kabhi kisi nay apnay jootay , wallet ya handbag ki khushboo ko experience kia hoga ..
Shayad gloves.. hosakta hai ..
Laiken in teen cheezon kay elawa apko leather ki real khushboo ka experience nahe hota ..
To aisa kia hai in products main jo apka leather ki taraf khenchta hai?
Kaafi companies leather ka aroma bananay ki koshish karti hain .. khushboo lakri aur kisi fruit ki mix hoti hai
Laiken naam LEATHER ka use hota hai..
Main sochta hoon logon ko leather kay naam say kia feel milti hai?
Kyun letay hain woh Leather ka perfume?
Kia yaad dilata hai unko Leather ?
Posted Aug 12, 2026, 8:14 PM UTC
37