Regret π
Yaar bohot regret hota hai guilt hota hai yrr!
Khud ko dhokha diya parents ko dhokha diya apni jee prep. Mene kuch padha nhi aur sabko ek jhuta dilasa deti gyi. Test me cheating karna aur parents ko galat marks batana lectures ke bahane reels dekhna 12th me offline me jaakar bhi padhai na karna . Khair ab guilt ke alava haath me kuch nhi hai aur ab jab realisation hua tab samjh aaya ki ab to kuch bacha hai nhi . Fir bhi yrr me ek try dena chahti hu in last 5 months me me sab kuch sudharna chahti hu any advice?12th me hu. π
Posted Aug 13, 2026, 4:44 PM UTC
517