Qateel Shafai
π Dard-e-Judai
Lo chal diye woh hum ko tasalli diye baghair
Ik chaand chhup gaya hai ujala kiye baghair
Un se bichhar ke hum ko tamanna hai maut ki
Aati nahi hai maut bhi lekin jiye baghair
Maange se mil saki na humein ek bhi khushi
Paaye hain laakh ranj tamanna kiye baghair
Ae zabt-e-ishq, aur na le imtihaan-e-gham
Hum ro rahe hain naam kisi ka liye baghair π€
Posted Sep 11, 2026, 3:28 PM UTC
10